![]() |
![]() |
#1 |
Join Date: Nov 2010
Location: *~*Allah ki Pannah mein*~*... :)
Posts: 1,880
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() |
![]() Roman pOetRy CompEtition Of October…. ![]() Assalam-O-Allaikum…. ![]() Roman pOetRy CompEtition k sath pяєC!συѕ g!яl.hazir hy ![]() iss month app ney "Faiz Ahmed Faiz " ki poetry sharE kerni hai.. 'RULES': 1) LAST DATE 20 October 2) Polling 20 October ko hee laga dee jaye gi 3) Har member 1 poetry share karay ga 4) Edit kar k dobara ki gaee post ko accept nai kiya jaye ga 5)Aik jaisi sharing allow nai hai 6) Sharing isi thread main karni hai…. |
![]() |
![]() |
#2 |
Join Date: Nov 2010
Location: *~*Allah ki Pannah mein*~*... :)
Posts: 1,880
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() |
![]()
bahaar aa_ii
bahaar aaii to jaise ek baar lauT aaye hain phir adam se vo Khvaab saare, shabaab saare jo tere honThon pe mar miTe the jo miT ke har baar phir jiiye the nikhar gaye hain gulaab saare jo terii yaadon se mushk_buu hain jo tere ushshaaq kaa lahuu hain ubal paDe hain azaab saare malaal-e-ahavaal-e-dostaaN bhii Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaaN bhii Gubaar-e-Khaatir ke baab saare tere hamaare savaal saare, javaab saare bahaar aa_ii to khul gaye hain naye sire se hisaab saare |
![]() |
![]() |
#3 |
săиiă
![]() ![]() Join Date: Dec 2009
Location: ♥ *♥ Urdu planet's orchard♥* ♥
Posts: 22,842
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() |
![]() w.salam Sach hai hameeN ko aapke shikwe baja na the Beshaq sitam janaab ke sab dostanaa the HaN, jo jafa bhi aapne ki qaayade se ki HaN, ham hiN kaarbaNde-usoole wafa na the Aaye to yuN ki jaise hamesha the meharbaaN Bhule to yuN ki goya kabhee aashana na the kyun daad-e-Gham ham ne talab ki, bura kiya ham se jahaan men kushtaa-e-Gham aur kya na the gar fikr-e-zaKhm kii to Khataavaar hain ke ham kyun mahv-e-madh-e-Khubi-e-teGh-e-adaa na the Har chaaragar ko chaaragaree se gurez tha Warna hameiN jo dukh the, bahut laa-dawa ne the Lab par hai talkhe-e-maye-aeyaam, warna ‘Faiz’
Ham talkhe-e-kalaam pe maael zara na the
__________________
![]() |
![]() |
![]() |
#4 |
♥~choco~♥
![]() ![]() Join Date: Dec 2010
Location: Duaoo mey
Posts: 8,289
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() ![]() Kabhi kabhi yaad main ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se Wo aazmaish dil-o-nazar ki, wo qurbaten si, wo fasle se Kabhi kabhi aarzu k sehra main, aa k rukte hain qafle se Wo saari baten lagao ki si, wo saare unwaan wisaal k se Nigha-o-Dil ko qarar kesa, Nishaat-o-gham main, kami kahan ki Wo jab mile hain, to un se har baar, ki hia ulfat naye sire se Bohat giran hai ye aish-e-tanha, kahin sabak tar, kahin gawara Wo dard-e-pinhan k sari dunya, rafiq thi jis k waste se Tumhe kaho, k rind-o-mustahib main, hai aj shab kon fark aisa? Ye aa k bethe hain mekade main, wo uth k aaye hain makade se ![]()
__________________
![]() ![]() ![]() |
![]() |
![]() |
#5 |
♥~choco~♥
![]() ![]() Join Date: Dec 2010
Location: Duaoo mey
Posts: 8,289
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() ![]() Kabhi kabhi yaad main ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se Wo aazmaish dil-o-nazar ki, wo qurbaten si, wo fasle se Kabhi kabhi aarzu k sehra main, aa k rukte hain qafle se Wo saari baten lagao ki si, wo saare unwaan wisaal k se Nigha-o-Dil ko qarar kesa, Nishaat-o-gham main, kami kahan ki Wo jab mile hain, to un se har baar, ki hia ulfat naye sire se Bohat giran hai ye aish-e-tanha, kahin sabak tar, kahin gawara Wo dard-e-pinhan k sari dunya, rafiq thi jis k waste se Tumhe kaho, k rind-o-mustahib main, hai aj shab kon fark aisa? Ye aa k bethe hain mekade main, wo uth k aaye hain makade se ![]()
__________________
![]() ![]() ![]() |
![]() |
![]() |
#6 |
Join Date: Aug 2011
Posts: 33
![]() |
![]() ![]()
__________________
![]() U Will NeVe Eve FinD A G!Rl L!kE mE |
![]() |
![]() |
#7 |
![]() Join Date: May 2011
Location: pakistan
Posts: 15
![]() |
![]()
aayeh hath uthein hum bhi
hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin hum jinhein soz-e muhabat ke siwa koi buth, koi khuda yaad nahin aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin un nazroon peh koi raah ujagar ker de jin ka deeN pariw-e kizb-o riya hai un ko himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile ishq ka sir-e nihaaN jaan tapaaN hai jis se aaj iqrar karein aur tapish mit jaa'e hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaaN aaj izhar karein aur khalish mit jaa'e ![]() ![]() ![]() |
![]() |
![]() |
#8 |
Join Date: Sep 2011
Posts: 55
![]() |
![]() ![]() tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhe.n bhii Faiz Ahmed Faiz tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhe.n bhii aanevaale lamho.n kii amaanat ban jaaye.N tum jo Thahar jaao to ye raat, mahataab ye sabzaa, ye gulaab aur ham dono.n ke Khvaab sab ke sab aise mubaham ho.n ki haqiiqat ho jaaye.N tum Thahar jaao ki unavaan kii tafasiir ho tum tum se talKhii-e-auqaat kaa mausam badale raat to kyaa badalegii, haaalat to kyaa badale.nge tum jo Thahar jaao to merii zaat kaa mausam badale mahaarbaa.N ho ke na Thaharo to phir yuu.N Thaharo jaise pal bhar ko ko_ii Khvaab-e-tamannaa Thahare jaise daravesh-e-madaa-nosh ke pyaale me.n kabhii ek do pal ke liye talKhii-e-duniyaa Thahare Thahar jaao ke madaarat maikhaane se chalate chalate ko_ii ek-aadh subuu ho jaaye is se pahale ke ko_ii lamhaa aa_indaa ka tiir is tarah aaye ke pevast-e-guluu ho jaaye ![]() |
![]() |
![]() |
#9 |
![]() Join Date: Oct 2011
Location: Matta, Charsadda, Pakistan
Posts: 12
![]() |
![]()
Salam...............
Faiz ki to mujhe yad nahi albata aik general sa sheer arz krta chalo bura mat maniye ga...... Tum takkalluf ko b ikhlaas samajhte ho FARAZ. Dost hota nahi har haath milane wala...... Sory ma ne sirf apne dil ka baraas nikala. |
![]() |
![]() |
#10 |
![]() Join Date: Oct 2011
Posts: 8
![]() |
![]()
aaj bazaar main pa-bajolan chalo
Chashm-e-num, jaan-e-shoreeda kafi nahin Tohmat-e-ishq-posheeda kafi nahin aaj bazaar main pa-bajolan chalo Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo Khak bar sar chalo, khoon badaman chalo Rah takta hai sub shehr-e-janaan chalo Hakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dushnam bhi Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi Unka dum-saaz apnay siwa kaun hai Shehr-e-janaan main ab baa-sifa kaun hai Dast-e-qatil kay shayan raha kaun hai Rakht-e-dil bandh lo, dil figaro chalo Phir hameen qatl ho aain yaro chalo |
![]() |
![]() |
Bookmarks |
Tags |
competition, october…, october…, poetry, roman |
Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
Thread Tools | |
Display Modes | |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Polling for Roman poetry competition Sep 2011 | Night Jasmine | old Competitions archieves | 4 | 09-25-2011 04:05 PM |
RoMaN pOetrY cOmpEtitiOn oF july 2011 | chocolate | old Competitions archieves | 7 | 09-25-2011 12:48 AM |
polling of roman poetry competition july2011 | chocolate | old Competitions archieves | 4 | 09-25-2011 12:46 AM |
***** July-2011 Competition links**** | chocolate | News & Announcement | 4 | 08-07-2011 01:27 PM |